Monday, March 20, 2017

Bita Waqt Lautkar aaye....

Muthi band kar babuji ki athani ko sambhal kar rakhta tha
reasson jesa mehsoos karta tha
par in kagazi noton mein hai woh baat kahan
kash ki ghadi ki soiyan palat jaaye
aur mera bita waqt lautkar aaye

jab tumne meri gabhrai ungliyon ko thamkar naam likhna sikhaya tha
kandhe par bithkar apni duniya ka mela dikhaya tha
meri haar ko apni haar maankar, meri jeet mein jashan manaya tha
yeh officecy promotion mein, daftari partiyon mein hai woh baat kahan
kash ki ghadi ki soiyan palat jaaye
aur bita waqt lautkar aaye

galitiyon par meri, nadaniyon par dant kar fir gale se lagaya tha
jab sab the masroof apne mein woh tum he toh the jisne mera phone uthaya tha
yeh teckniki baaton mein, phone ke messagon mein woh baat kahan
kash ki ghadi ki soiyan palat jaaye
aur bita waqt lautkar aaye

pahad toot pare the mujh par
tumne mujhe sambhahala tha
gir kar fir uthna sikhaya tha
jab sari duniya jhoothi thi
aur kismat mujhse roothi thi
pyar se tumne nivala khilakar, god mein sir selhate huye dilalasa dilvaya tha
haan khuda ho tum,sirf tumko he mujh par rehem aaya tha
khone-paane mein, rishte-naaton mein hai woh baat kahan
kash ki ghadhi ki soiyan palat jaaye
aur bita waqt lautkar aaye

kese bhool jao ki aapke he kaaran main duniya mein aaya tha



No comments:

Post a Comment