Thursday, March 2, 2017

A letter to Mah Unrequited Love

kya main tumse kuch keh sakti hoon
ki tumhare bina main nahin reh sakti hoon
par in sabka fyada kya hai?
yahan pyar ka kayda kya hai?
woh smjhaate- smjhaate thak gaye hain
tumhara khayal hai ki jaata nahin hain
tum toh nahin ho fir kyun tumhari yaad mujhe chhodti nahin
tumne toh thukra dia hai fir kyun mujhe tadpate tum thakte nahin
kai tareeke maine apnaye
par aisi koi siyahi nahin jo tumhara naam mita paaye
jab yeh dard uthata hai toh kum hota nahin
laiilaj bimari hai, is marz ki koi dava nahin
tumne jo sath chhod dia  hai
maine bhi zidd mein jeena chhod dia hai
kab tak yunhi shikayte karti rahungi
ghut-ghut kar yunhi hasti rahungi
andar he andar bas marti rahungi
intezaar ne hadd kar di hai
aur imtehaan hain ki khatam hote nahin hain
sabit kar-kar main thak gayi hoon
tumhe kya pata kitne maute mar gayi hoon

par tumhe kya, tum khush rehna apni zindagi mein
safalata ki bundeliyan hasil karna zindagi mein
mera kya hai, kal hoon, aaj nahin
ya shayd hokar bhi nahin

mujhe pata hai ki tumhe kuch aur chahiye
kuch aur main nahin de sakti
par mujhe sirf tum chahiye
kyunki main tmhare bina reh nahin sakti


No comments:

Post a Comment