Tuesday, February 21, 2017

Pyar

chand tak-taki laga kar 
khidki par 
sunta hai uske geet 
woh jo khayalon mein khoyi rehti hai din bhar 
jhalli jise waqt ki khabar nahin 
koi ata- pata nahin 
neend jisse roothi hui hai 
taaron ko gini hai 
nadiyon se batiyati hai 
na jaane aaj kal khud se he muskarati hai 
pyar hai pagli jab kehti hai chandni 
toh ghunghta kiaad mein sharam se laal ho jaati hai 


No comments:

Post a Comment