Sunday, February 19, 2017

Sardi ka Mausam

jab sans ka gubbara dhuan hone lage
jab dil mein tumhare koi aag si sulagane lage 
shishe mein nami jamne lage 
aur bache naam likhne lage 
arman kuch jalne lage 
thnadi hawayein chalne lage 
aur padosi hearter ki shikayate karne lage 
jab hatheleyan yunhi jebein tatolane lage 
aur pyar har aur mehakane lage 
mera dil jab tumari he aahein bharne lage 
aur koi tadap tumhare dil mein uthne lage 
phool jab kisi baat par ruthne lage 
aur gaadi jab us se sajne lage 
daulat ki chat jab kuchon mein bikne lage 
saundhi khushboo gajrele ki jab yunhi mehakane lage 
aur rangeen botle apne aap he kholne lage 
jab tumhare kisse kahanyon mein woh dobne lage 
jab kohre kagaz chidane lage 
jab thanda bistar satane lage 
jab meri duniya tum mein basne lage 
aahatein jab tumhe uksane lage 
toh chaukhat par tumhare chaahe main na bi hoon
par sardi ka mausam dastak de chuka hoga.....

No comments:

Post a Comment