Monday, March 6, 2017

Ek BaatChit apni Dost se Uske baare mein

tum toh mujhe bachpan se he janti ho
meri nadaniyan, meri galtiyon pe parde daalte ho
mere unkahe raaz bhi pehchanti ho
aur fir bhi mujhe dil se apna dost manti ho

tum kehna kya chahti ho?
yeh kaviyon ke saleeke chhodo aur kehdo jo bhi kehna chahti ho

haan toh suno itne waqt se humne ache se baat nahin ki hai
kya tumhe is baat ka koi shak nahin hai ?

nahin, mujhe maloom hai ki hum kahe na kahe dost toh rahenge
yunhi ek dusre ki khamoshi padte rahenge

tum yeh janti ho ki pyar ke mamle mein mera hath humesha se he tang raha hai
logon ko pehchanne mein yeh dil humesha se he kamzor raha hai
yeh sach hai ki mujhe duniyadari ki kuch samjh nahin
ab kese samjhao mujhe kuch khabar nahin
tum toh janti he ho ki tumahari dost ko zara si bhi akal nahin

woh toh tum bachpan se he aisi ho
ab batao kya haal hai? tum kese ho?

haal? mera haal kuch thek nahin hai
samjhne ki jitni koshish karo utna he samjh se pare hai
ek anjahan hai toh meri tarefein karta thakta nahin
deevano sa pyar karne se darta nahin
haan thoda besabre sa hai woh
par kuch alag sa hai woh

main janti hoon ki ab tum kahoge ki ladke toh hote he aise hain
kambhaqt dil fek ashiq pyar kiton se karte hain
pr mujhe ek sapne sa maloom hota hai
ek haseen sapna jise khona asan nahin hota hai
ek sapna jisse main shayd he ubharna chahun
woh nazuksa jise chhu dene bhar se shayd khud ko he chot pahunchao

haan mujhe usse pyar hone laga hai
par mere kaal ateet ka darr mujhe chhodta nahin hai
bahot mushkilon se sambhal paayi hoon main
fir se barbad hone ki meri koi chahat nahin
is duvidha ka mere pass toh koi hal nahin

woh sapne sa hai asaliyat se bilkul pare
ab tum he batao kya kare?



No comments:

Post a Comment