hosh ki raah pe chalte
behoshi se hui mulakaat
hum neend ki god mein aa gire
sapno ke sirhaane par rakh kar sir
duniyabhar ke dokhe bhool gaye
dukh toh jese fana ho gaye
awaz tho thi magar koi kuch keh nahin raha tha
woh ehsas jo asal mein kahin ghum se ho gaye hain
yeh koi nasha toh nahin tha par nashe jesa he tha
uff!! yeh neend kabhi picha chhodti nahin
aur jab daga de toh chain se kabhi milti bhi nahin
ek atrangi sa rang banta hai ,
chamakata hai,
bakshish ki tarah noor ki boondon jesa barsata hai
anuthe se khel
is neend ke bazar mein sab kuch sareaam bikta hai
mol nahin hain yahan mol ka
aha!! shayad he main is haseen sapne se kabhi ubharna chahun
thak gaye mere kadam, par hoslon ko kahan ruk paaon
waah!! aansu toh chhalak jaate hain
sapne jab aise ankh khulne par he toot jaate hain
kafir ho jaate hain
mehkate rehte hain khayal bankar
khushnaseeb hoon ji gira neend ke anchal mein
ek sukha patta bankar
ab ilm hua hai ki main kuch tham gaya hoon
khokhlepan mein sad gaya
tanha pad gaya
shayd duniyadari mein banda banne ki khatir kuch bhool gaya tha
na jaane kya chhot gaya par aaj main tera ban gaya
No comments:
Post a Comment