Sapno ka Akaal hai
Chahaton ke badal garjate nahin
Umeedon ki varsha hoti nahin
Budi aakhon se roshini kum hone lagi hai
dararein mukadar ki sakht hone lagi hain
Chahaton ke badal garjate nahin
Umeedon ki varsha hoti nahin
suraj chubhta hai
kaale par chuki chamdi par kode barsata hai
surkh grishm hawayein chalti aur apne sath sandesh le jati hain
fir registan mein ghum si ho jaati hain
shole rakh kar dete hain
aanewala jo bacha kucha kal hai use khakh kar dete hain
begunahi ki saza kaatne ko tyaar hath hardum he dua karte hain
No comments:
Post a Comment