alaap lekar ab usne aarambh kiya
usi alaap ne sama bana diya
ankhein band,ungli meri thamkar
woh raag le chala mujhe ek alag duniya mein
jahan kisi tarah ka bhandhan na tha
aur na thi koi dewar
wahan jahan haddon ko laagna hai pesha sabka
sach kehte hain kala ki koi hadd nahin hoti
koi bhandhan nahin hota, koi seema nahin hoti
woh dhun, woh tezi, woh tarakshbaazi
kuch jaadu sa kar rahin thi mujh par
uski lehar mein beh rahi thi
maikashi na hote huye bhi madoshi chha jaati hai
woh sooron ke saaz mujhe apni le aate hain
sudh-budh khokar, sab kuch bhulakar
unki dhun mein, main khud ko kuch khoya hua paati hoon
shor-gul se door woh kuch alag duniya mein le jaate hain
jahan ekant se door main apni bhitar ki awaz sun paati hoon
yeh thi quwwal ki quwwali meri nazar se

No comments:
Post a Comment