Wednesday, March 29, 2017

Pita bete se

पिता का हृदय, पुत्र का स्वप्न

माँ-बाप के हृदय में तुम हो बसे,
अपने जीवन का तुम हो सबसे बड़ा निवेश।
तुम्हारी मुस्कान, मेरी खुशी,
तुम्हारी आँखों में देखूँ मैं स्वर्ग की छवी।

तेरी शरारतों में मेरा बचपन लौट आता,
तुझसे सीखता हूँ, हर पल नया गाता।
माँ का लाडला, दादी का नन्हा सा नवासा,
सबकी नज़रों का तारा, तू ही मेरा आशा।

तुझसे ही तो मिला है मुझे मान,
तुझसे ही तो मिला है गौरव का अहसान।
तू ही मेरा जीवन, तू ही मेरी जान,
तुझे खोने का डर, मुझे करता है बेमान।

तेरी ज़िद्दें देखकर, दिल होता है उदास,
क्यों नहीं समझता तू, ये पिता का प्यार बड़ा गहरा।
तुझसे बहस करना, मुझे देता है दुख अथाह,
क्यों नहीं समझता तू, मैं हूँ तेरा हमसफ़र सदा।

हमेशा दोराहे पर खड़े रहेंगे,
फिर भी तुझसे प्यार करते रहेंगे।
तुझसे चिढ़ते हैं, मगर दिल से चाहते हैं,
कि तू हमेशा खुश रहे, ये ही हम चाहते हैं।

तेरे आँसू देखकर, मेरा दिल रोता है,
तू क्यों नहीं समझता, मैं तेरा कितना ख़याल रखता हूँ।
ये दुनिया कितनी बड़ी है, ये तुझे समझाना चाहता हूँ,
तू बस मेरी बातों को दिल में बसाना चाहता हूँ।

तू हार मत मानना, मुश्किलों से डरना मत,
मैं तेरा साथ दूँगा, हर कदम पर।
तू मेरा गौरव है, मेरी पहचान,
तू ही मेरा सब कुछ, ये है मेरा मान।

ना समझ हो तू, ये बातें मेरी,
मगर पिता का दिल, ये जानता है तेरी ज़रूरत।
ये सारी आदतें, मुझसे ही सीखी हैं,
मगर तू मेरा बेटा है, ये कभी मत भूलना।

मैं तुझे खोना नहीं चाहता,
तू हमेशा मेरा साथी रहेगा।
तन्हाई का डर, मुझे सताता है,
तू ही मेरा सहारा, ये बात याद रखना।

मुझे यकीन है, तू मेरा सहारा बनेगा,
मेरे बुढ़ापे में, मेरा साथ निभाएगा।
तुझे बस खुश देखना चाहता हूँ,
ये ही मेरा आखिरी ख्वाब है।





























  





   

Wednesday, March 22, 2017

Sapno ka AKaal

Sapno ka Akaal hai 
Chahaton ke badal garjate nahin 
Umeedon ki varsha hoti nahin 

Budi aakhon se roshini kum hone lagi hai 
dararein mukadar ki sakht hone lagi hain 
Chahaton ke badal garjate nahin
Umeedon ki varsha hoti nahin 

suraj chubhta hai 
kaale par chuki chamdi par kode barsata hai 
surkh grishm hawayein chalti aur apne sath sandesh le jati hain 
fir registan mein ghum si ho jaati hain
shole rakh kar dete hain 
aanewala jo bacha kucha kal hai use khakh kar dete hain 
begunahi ki saza kaatne ko tyaar hath hardum he dua karte hain 


 

Tuesday, March 21, 2017

Badalti Zindagi (Inspired from Seven Ages)

yeh bachpan bhi ktina anutha hota hai 
pal bhar ki khushiyan, pal bhar ka rona hai 
yeh bachpan bhi kese khilone jesa hota hai 
taur-tareeko se, ritiyon-nitiyon se pare 
yeh apni dhun mein mast rehta hai 
kisse-kahaniyan kehta hai 
fiki par chuki jaan mein rang bharta hai 
Haaye! yeh bachpan bhi kese khilone jesa hota hai 
duniya se pare hokar bhi duniya bhi he palta hai 

masoon sa yeh bade hone ki hod mein duniya ka hissa banta hai 
jab bachpan jawani mein badalta hai 
alhad jawani besabr se behti hai 
manchali si behraah si raah se guzarati hai 
kabhi ishq -ishq, kabhi dard-dard  ki rat lagaya karti hai 
lakh samjhao ise yeh khud ki bhi na sunti hai 
moiyi bin-baat ke unfanti hai 
kambhaqt duniya se jhagdati, ladti hai
aur fir kone mein chhupkar roti, bilagati hai 
yeh alhad jawani anhad bajti hai 

fir kahin thehrati hai, kuch rukti hai 
jab budape mein dhalti hai 
kampti hui hatheliyan jab besaikhi ki talash karne lagti hain 
purani ho chuki akhbar ki tarah zarurat kum si lagti hai 
jab yeh zindagi jeene ki akhri paudi par paonv rakhti hai 
Haaye yeh zindagi kitne rangon mein rangti hai 
berang si shuru hoti hai 
aur berang si dhalti hai 

 


Monday, March 20, 2017

Bita Waqt Lautkar aaye....

Muthi band kar babuji ki athani ko sambhal kar rakhta tha
reasson jesa mehsoos karta tha
par in kagazi noton mein hai woh baat kahan
kash ki ghadi ki soiyan palat jaaye
aur mera bita waqt lautkar aaye

jab tumne meri gabhrai ungliyon ko thamkar naam likhna sikhaya tha
kandhe par bithkar apni duniya ka mela dikhaya tha
meri haar ko apni haar maankar, meri jeet mein jashan manaya tha
yeh officecy promotion mein, daftari partiyon mein hai woh baat kahan
kash ki ghadi ki soiyan palat jaaye
aur bita waqt lautkar aaye

galitiyon par meri, nadaniyon par dant kar fir gale se lagaya tha
jab sab the masroof apne mein woh tum he toh the jisne mera phone uthaya tha
yeh teckniki baaton mein, phone ke messagon mein woh baat kahan
kash ki ghadi ki soiyan palat jaaye
aur bita waqt lautkar aaye

pahad toot pare the mujh par
tumne mujhe sambhahala tha
gir kar fir uthna sikhaya tha
jab sari duniya jhoothi thi
aur kismat mujhse roothi thi
pyar se tumne nivala khilakar, god mein sir selhate huye dilalasa dilvaya tha
haan khuda ho tum,sirf tumko he mujh par rehem aaya tha
khone-paane mein, rishte-naaton mein hai woh baat kahan
kash ki ghadhi ki soiyan palat jaaye
aur bita waqt lautkar aaye

kese bhool jao ki aapke he kaaran main duniya mein aaya tha



Wednesday, March 15, 2017

Just a Slave for You

she was made for me 
at least that's what i thought her to be 
made for me or fools like me 
i created her 
created her for me 
these days she had been playing me like a tool 
tuning me to suit her ways 
there she goes taming me 
nice and clean 
i began using her before her 
yet she knew it better, 
the world 
i would never imagine to discover 
never really realize the moment when i fell slave to your knees
was it when you were fulfilling all my needs ?
dancing to my rhythms of whims 
or was it when you became a shoulder to cry on?
someone i could rely on 

2 faced, fakeness 
never fades away 

i think it was the moment when you were busy counting my mistakes 
claiming yourself great 
cornering me as we drifted 
i was fighting with you everyday 
dying a new death 
rising from the ashes like the Phoenix
my cries all unheard 
my screams gone to waste 
my tears!! my bloody fucking tears down the drain 
being with you, my pain highlighted 
i could no longer resist it 
you picked me up, dust me off 
offered a helping hand, helping hand ??
it was just to make me fall down again 
make me beg and beg and beg till the end of time 
till you were satisfied 

did i do something to hurt you? 
no!!
it was always the ego residing in between 
you hated me so much 
you could've let me go 
let me be 
or killed me in one go 
but no!! 
that'ed be too easy, too fucking easy
tormenting and bleeding 
dying and defeated 
that's where your fun lies 
the true revenge 
my!! my!! my!! you make me wonder 
my increasing believes in superstitions and beasts 
tried and tried to build this castle, 
but you kept on crashing my dreams 
my dead fucking dreams 
vain, You and Me, all Empty 



Tuesday, March 14, 2017

Yeh Neend

hosh ki raah pe chalte 
behoshi se hui mulakaat 
hum neend ki god mein aa gire 
sapno ke sirhaane par rakh kar sir 
duniyabhar ke dokhe bhool gaye 
dukh toh jese fana ho gaye 
awaz tho thi magar koi kuch keh nahin raha tha 
woh ehsas jo asal mein kahin ghum se ho gaye hain
yeh koi nasha toh nahin tha par nashe jesa he tha 
uff!! yeh neend kabhi picha chhodti nahin
aur jab daga de toh chain se kabhi milti bhi nahin
ek atrangi sa rang banta hai ,
chamakata hai, 
bakshish ki tarah noor ki boondon jesa barsata hai 
anuthe se khel 
is neend ke bazar mein sab kuch sareaam bikta hai 
mol nahin hain yahan mol ka 
aha!! shayad he main is haseen sapne se kabhi ubharna chahun 
thak gaye mere kadam, par hoslon ko kahan ruk paaon 
waah!! aansu toh chhalak jaate hain
sapne jab aise ankh khulne par he toot jaate hain
kafir ho jaate hain 
mehkate rehte hain khayal bankar 
khushnaseeb hoon ji gira neend ke anchal mein
ek sukha patta bankar 

ab ilm hua hai ki main kuch tham gaya hoon 
khokhlepan mein sad gaya 
tanha pad gaya 
shayd duniyadari mein banda banne ki khatir kuch bhool gaya tha
na jaane kya chhot gaya par aaj main tera ban gaya 


  

Saturday, March 11, 2017

Ba Tum aur Main

samasya hain ki kum hone ka naam leti nahin
par tu hai toh koi kumi khalti nahin
duniyadari mein, befazul ki baaton mein  mera mann lagta nahin
kyunki har dum tere khayalon mein jo khoya rehta hoon
par chaahe lakh inzhaar karun apne sache pyar ka
tu hai na kambhaqt yakeen hota nahin
tu hai toh main hoon
itni se baat bhi samjh paayi nahin
hum kyun waqt zahya kare gile-shikvo mein
jab mujhe sirf tum chahiye aur kuch bhi nahin
chalo na wahan jate hain,
jahan koi sataye nahin
tanhai tadpaaye nahin
bas tu aur main
aur bachi khamoshi......




Friday, March 10, 2017

Badti Umar ka Asar

jab budapa dene lage dastak darwaze par
samjh lena tumhe akal aa gayi

bewajah tum pyar karne lagoge
shikayaton se door hatne lagoge
chote-mote kaamo befazul ke kaamo mein khushi talashane lagoge
behtar ko behtarein karne lagoge

sir ke baal jab jhadne lage
wazan jab ghatne lage
chaar kadam chalne par he sans jab foolne lage
jab yunhi mann kuch gungane lage
aur dil jasbaton se sochne lage

zaruratein tumhe kum lagne lagengi
har pal mein nayi zindagi jeene lagegi
chehre par jhuriyan padne lagengi
lakirein hathon ki feinki padne lagengi


bematalb ki ladai mein tumhara mann kum lagne lage
dada-daadi, nana- naani ki kilkariyan kaano mein gujne lage
ishwar nahin, par aatma par vishvas badne lage

is behtar hoga kya?
kyun hai na mere yaar?
mat dekh budape ko kamzoori ki nazaron se yeh bhi ek daur hai, iska jum ke maza leh!



Monday, March 6, 2017

Ek BaatChit apni Dost se Uske baare mein

tum toh mujhe bachpan se he janti ho
meri nadaniyan, meri galtiyon pe parde daalte ho
mere unkahe raaz bhi pehchanti ho
aur fir bhi mujhe dil se apna dost manti ho

tum kehna kya chahti ho?
yeh kaviyon ke saleeke chhodo aur kehdo jo bhi kehna chahti ho

haan toh suno itne waqt se humne ache se baat nahin ki hai
kya tumhe is baat ka koi shak nahin hai ?

nahin, mujhe maloom hai ki hum kahe na kahe dost toh rahenge
yunhi ek dusre ki khamoshi padte rahenge

tum yeh janti ho ki pyar ke mamle mein mera hath humesha se he tang raha hai
logon ko pehchanne mein yeh dil humesha se he kamzor raha hai
yeh sach hai ki mujhe duniyadari ki kuch samjh nahin
ab kese samjhao mujhe kuch khabar nahin
tum toh janti he ho ki tumahari dost ko zara si bhi akal nahin

woh toh tum bachpan se he aisi ho
ab batao kya haal hai? tum kese ho?

haal? mera haal kuch thek nahin hai
samjhne ki jitni koshish karo utna he samjh se pare hai
ek anjahan hai toh meri tarefein karta thakta nahin
deevano sa pyar karne se darta nahin
haan thoda besabre sa hai woh
par kuch alag sa hai woh

main janti hoon ki ab tum kahoge ki ladke toh hote he aise hain
kambhaqt dil fek ashiq pyar kiton se karte hain
pr mujhe ek sapne sa maloom hota hai
ek haseen sapna jise khona asan nahin hota hai
ek sapna jisse main shayd he ubharna chahun
woh nazuksa jise chhu dene bhar se shayd khud ko he chot pahunchao

haan mujhe usse pyar hone laga hai
par mere kaal ateet ka darr mujhe chhodta nahin hai
bahot mushkilon se sambhal paayi hoon main
fir se barbad hone ki meri koi chahat nahin
is duvidha ka mere pass toh koi hal nahin

woh sapne sa hai asaliyat se bilkul pare
ab tum he batao kya kare?



Thursday, March 2, 2017

A letter to Mah Unrequited Love

kya main tumse kuch keh sakti hoon
ki tumhare bina main nahin reh sakti hoon
par in sabka fyada kya hai?
yahan pyar ka kayda kya hai?
woh smjhaate- smjhaate thak gaye hain
tumhara khayal hai ki jaata nahin hain
tum toh nahin ho fir kyun tumhari yaad mujhe chhodti nahin
tumne toh thukra dia hai fir kyun mujhe tadpate tum thakte nahin
kai tareeke maine apnaye
par aisi koi siyahi nahin jo tumhara naam mita paaye
jab yeh dard uthata hai toh kum hota nahin
laiilaj bimari hai, is marz ki koi dava nahin
tumne jo sath chhod dia  hai
maine bhi zidd mein jeena chhod dia hai
kab tak yunhi shikayte karti rahungi
ghut-ghut kar yunhi hasti rahungi
andar he andar bas marti rahungi
intezaar ne hadd kar di hai
aur imtehaan hain ki khatam hote nahin hain
sabit kar-kar main thak gayi hoon
tumhe kya pata kitne maute mar gayi hoon

par tumhe kya, tum khush rehna apni zindagi mein
safalata ki bundeliyan hasil karna zindagi mein
mera kya hai, kal hoon, aaj nahin
ya shayd hokar bhi nahin

mujhe pata hai ki tumhe kuch aur chahiye
kuch aur main nahin de sakti
par mujhe sirf tum chahiye
kyunki main tmhare bina reh nahin sakti