jab ho jaaye kaam tumhara
fursat ke palon mein
aakar baith jaana pehlo mein
guftagoo chaahe na bhi ho
humari baatein nazaron se hogi
woh naraaz hoon beshak
dutkaar bhi de mujh ko
lekin us namkeeniyat
ke bhi kuch alag maza hoga
kadam uthkar jaane ki jo karein himakat
tum thaam lena daaman
jakad lena mujhe apne mein
par jaane mat dena
kyunki mujhe ilm hai ki tumhe
khoya toh shayad apne aap ko he kho baithunga
galat thehrao mujhe
ehsas karvana mujhe
bas mujhe jaane mat dena
lekin jab bulava aa jaaye parvar digaar ka
tab na karna tum sajde
unhe nazaron se kehna ki jhukkar sharam se salaam karein
aur halki si woh motiyon si muskuharat
jiske kaatil hai aur isi tarah mujhe vida karein
fursat ke palon mein
aakar baith jaana pehlo mein
guftagoo chaahe na bhi ho
humari baatein nazaron se hogi
woh naraaz hoon beshak
dutkaar bhi de mujh ko
lekin us namkeeniyat
ke bhi kuch alag maza hoga
kadam uthkar jaane ki jo karein himakat
tum thaam lena daaman
jakad lena mujhe apne mein
par jaane mat dena
kyunki mujhe ilm hai ki tumhe
khoya toh shayad apne aap ko he kho baithunga
galat thehrao mujhe
ehsas karvana mujhe
bas mujhe jaane mat dena
lekin jab bulava aa jaaye parvar digaar ka
tab na karna tum sajde
unhe nazaron se kehna ki jhukkar sharam se salaam karein
aur halki si woh motiyon si muskuharat
jiske kaatil hai aur isi tarah mujhe vida karein
No comments:
Post a Comment