Saturday, November 19, 2016

Kuch Ban Gaya Hoon Main

Duniya ke is mele mein
yeh rox ke chakar jhamele mein
socha main akele mein
ki kitna tanha ho gaya hoon main

Hasne gaane lag gaya hoon main
khote sikke ke tarah chal gaya hoon main
par sath he sath badal gaya hoon main
jaane pehchane chehron mein
ab shamil ho gaya hoon main

unche logon mein rehne ki 
reazon mein uthne baithne lag gaya hoon main
tamez mein yun tan gaya hoon main
suit-boot mein kuch saj gaya hoon main
kisi tarah kuch ban gaya hoon main
jhoothe shann ki kasamo mein
yeh bebunyaadi rasmo mein
bandh gaya hoon main

kuche bazaron , katro kinaron mein
daav lagate hain sab
mool-bhav karte hain sab
ab kaudiyon bhaav bikne lag gaya hoon main
shayd kuch ban gaya hoon main

lekin, kintu, parantu 
maine 'Main' ko kahin kho dia hai
'Mai' main mein mil sa gaya hoon 
ab toh yakinan  daava hai mera
kuch ban gaya hoon main 


No comments:

Post a Comment